Valantine's Shayari


hame ashko se zakhmo ko dhona nahi aata
milti hai koi khushi to use khona nahi ata
seh lete har gam ko unhe dekh kar hum
log kehte hai ki hame rona nahi aata ...............1

wo bhi yaha se ja rahe the, hum bhi yaha se ja rahe the
un par bhi log ro rahe the, hum par bhi log ro rahe the
log unhe kandha de rahe the, log hame kandha de rahe the
furk sirf itna tha
ki wo sirf yaha se ja rahe the, aur hum is jaha se ja rahe
the.........2

har aashiqui ka matlab gam nahi  hota
duriya badhne se pyaar kam nahi hota
waqt bewaqt aate hai aakho me aansu
kyoki yaado ka koi mausam nahi hota ......................3

kash aisa koi ek manzar hota
tere kandhe pe mera sir hota
hoti na agar hume tumse muhabbat
to aaj aur ek sikandar hota ................................4

khuda jane aisi khudai kyo hai
har mulakat ka anjaam judaii kyo hai
jo manzil hamare mukaddar me nahi
uska rasta zindagi dikhati kyo hai .....................5

jindagi ko gam ka naam buzdilo ne diya hai.
humne to gum ka samna khushi se kiya hai
marte waqt bhi in hoto se hasi nahi kayegi
ye wada hum ne zindagi se kiya hai..................6

dil ke kareeb aake wo jab door ho gaye
saare haseen khwaab choor choor ho gaye
hum ne wafa nibhayi to badnamiya mili hume
aur jo bewafa they wo mashoor ho gaye ye ...................7

pite hai hum aur ilzaam sharab ko diya jata hai
magar isme kassor unka hai jinka chehra
hume har jaam me nazar aata hai..........8

niche paro ki dukan upar devdas ka makan
devdas ne dekhi paro ki muskan
devdas ne paro ko khilaya kalkutta pan
paan kha ke paro boli shukriya bhaijaan..............................9

har gali phulo se saja rakhi hai
har dwaar pe ek ladki bitha rakhi hai
na jane kis dwar se aao ge tum
isliye har ek ke haath me ek rakhi thama rakhi hai ..............10

rone se game dil ka guzara nahi hota
har koi shaks dil ka sahara nahi hota
us din lagta hai bekaar hai lotus notes
jis din is me e-mail tumhara nahi hota .............................11

dekh zandah se pareh su-e-chaman dar-o- kahan
raks agar karna hai to apne pair ki zanzeer na dekh.........12

chaho to hume bhula dena
chaho to dil se mita dena
yaad aayi hamari kabhi agar
to rona mat sirf muskura dena ...............................13

dost dosto se khafa nahi hota
dosto ka dil kabhi juda nahi hota
maaf kar dijiye hamari galtiyo ko
kyoki insaan to kabhi khuda nahi hota ...................14

hum nazro se door hai aankho se nahi
hum khwabo se door hai khayalo se nahi
hum dil se door hai dhadkan se nai
hum aapse door hai aapki yaado se nahi. .......16

apne aap ko kabhi tanhaa na kehna
hum jo hai, hamare ssath rehna
dikhte nahi paas to kya hua
apni dil ki gehraai me zaak kar dekhna..............17

waqt guzar jayega hum bikhar jayenge
kaun jaane ke hum kidhar jayenge
hum aapki parchayi hai yaad rakhna hamesha
jahan nazare jayengi, hum nazar aayenge ............18

mana dosti ko bhulana aapki fitrat hi sahi
magar hume bhool pana aap ki kismat me nahi
chaho to aajmakar dekh lo dosti aap hamari
khud hi ko bhul jaoge, hume nahin .........................19

hum ne jab kabhi khushi mehsoos ki
har kadam pe aapki kami mehsoos ki
door rehkar bhi aapk ki chahat kam na hu................20
ye baat hum ne dil se mehsoos ki

ishq sabhi ko jeena sikha deta hai
wafa ke naam pe marna sikha deta hai
ishq na kiya ho to karke dekho
har takleef ko sehna sikha deta hai ....................21

Rishto se bani hai ye duniya hamari
sab rishto se pyaari hai dosti tumhari
manzoor hai aankhon me aasnu hamare
agar aa jaye muskan hoto pe tumhari ..................22

Kismat se sabko apni shikayat kyo hai
jo na mil sake us se mohabbat kyo hai
kitni mushkile hai raho me is ulfat  ki
fir bhi un dilo se hame chahat kyo hai....................23

Phul ki tarah haste raho to hum khush hai
dil khol kar jiya karo to hum khush hai
ye nahi iltaza aapse ki roz mila karo
bas yaad kar liya karo to hum khush hai .................24


Din ke sath kabhi raat nahi hoti
sitaro se din ki baat nahi hoti
chahte hai hum jinhe apne dil o jaan se
khuda jane unse mulakat kyo nahi hoti....................31

Noor se aaja chand bhi sharmaya hai
Teri dosti ne kuch aisa gajab dikhaya hai
Khuda se kya mangne Hum unhe
Jo wo khud ham se aap jaisa dost mangne aaya hai .......32

Khwab dekhe bhi nahi aur toot gaye
hum unse mile bhi nahi aur wo ruth gaye
hum jaagte rahe duniya soti rahi
ek barish hi thi tho sath roti rahi ................................33

Chaha tha unhe haal-e-dil sunana
chaha tha unhe Junoon e ulfat dikhana
nagme ham laye the dil kured kar
magar ab alfaaz bhi chup hai unhe dekh kar ...................35

teri zindagi ke lamehe main har pal nikhar aaye,
gulshan bhi ho paresha is kadar bahar aaye.................36

Har muqaam pe lagta hai ke manzilein aur bhi hai
Raasta abhi baaki hai bahut ke manzilein aur bhi hai
Saahil se takarakar laut jaati hai har lehar
Saahil uske aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Dhal jaata hai suraj bhi har shaam
Subahe abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Jindagi mana humne dhadkano ki mohtaaz hai
Saanse abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai....................38

Aap gairo ki baat karte ho
Hum ne apno ko aazmaya hai
log kato se bachke chalte hai
hum ne phulo se zakhm khaya hai ..............................39

Ek lamhe mein unhone yeh zindagi savar di,
ek lamhe mein unhone yeh zindagi ujad di.
kasoor unka nahi humara tha ..
joh in do lamho mein humne zindagi guzar di...................40

pyar matlab batane ki hesiyat nahi hamari
pyar ke sagar main doob jaye aisi kismat nahi hamari
kiso na pane ka gam....kisiko gum judai ka
luta de sara chian jispar aisa humsafar he jaruri....................41

Ham khamosh theto hume  magroor samaz liya
Ham chup baithe the to hume  mazboor samaz liya
Is me galti aapki jo hum aapke kareeb the
Fir bhi aapne hum ko kitne door samaz
liya............................42

Dosti ke ye rishte bhi bade azeeb hote hai
har kisi ke apne apne naseeb hote hai
rehte hai jo dost apne nigaho se door
wo dil ke sabse kareebb hote hai..............................43

Mana hum aapke dosto me shamil nahi
mana hume aapki mohabbat haseel nahi
itni berukhi kis baat ki hai e dost
Ki hum aapke ek yaad ke bhi kabil nahi ............................44

E dost tu bhi likha kar shayri
to meri tarah tera bhi naam ho jayega
log fek ke marenge ande aur tamatar
aur raat ke khane ka intezaam ho jaye ga.
......................................45

kash dil ki awaz me itni asar ho jaye
hum aap ko yaad kare aur aap ko khabar ho jaye
aaj khuda se yahi dua karte hai hum
aapk jo bhi chaho wo hakikat ho jaye..........................46

Taraste the milne ko jo hum se kabhi
Wo aaj hamare saye  se kyo katarate hai
Hum bhi wahi hai aur dil bhi wahi hai
Na jane log kyo badal jate hai. ...............................49

Har taraf khamoshi ka saya hai
Duniya me sachha pyar kis ne paya hai
Hum zulte hai har pal unki yado me
Aur log kehte hai,
Dekho aaj phir pikar aaya hai.............50

Dil se aapka khayal jata nahi
aapke siwa koi yaad aata nahi
Hasrat hai ki roz dekhu me aapko
Magar wo Kambakht madari aapko roz lata nahi......51

Kuch log bade khas hote hai
har pal dil ke paas hote hai
Khushi me aur gam me bhi sath hote hai
Log unhe dost kehte hai
Aur Hum unhe aapk kehte hai ......52

Hatho ke lakiro me jeene ke ishare nahi hote
nasib pe jeene walo ke koi sahare nahi hote
lehro se dar ke kaha jaoge e dost
Bich sagar ke koi kinare nahi hote........53

Wo mil jate hai kahani bankar
Dil me bas jate hai nishani bankar
Jinhe hum rakhte hai apni aakho me
Kyo nikal jate hai wo pani bankar.....54

Karni khuda se kuch fariyad baki hai
Kehni hume kuch baat baki hai
Maut bhi aayenge to keh denge ruk zara
Abhi mere dost ki mulakatbaki hai.....55

Na khariyat koi,na paigam aaya hai
Jo chaha nahi wo anjam paya hai
Kya dost ne bhula di dosti meri
Na dua na koi salam aaya hai........56

Khuda se koi baat anjan nahi hoti
Jab insaan ki bandagi beimaan nahi hoti
Kabhi manga hoga aapne ek pyara dost
Yuhi aapki hum se pehchaan nahi hoti.............57

Kaanta na hota to phul ki ifazat na hoti.
Andhera na hota to roshni ki zarurat na hoti.
Agar mil jati hume har khushi is duniya me.
To dil ki mulaquat kabhi mohabbat se na hoti. ........58

Najre Jhuki to Paimane bane,
Dil tute to Maikhane bane,
Kuch to jaroor khas hai aap mein..
Hum yoon hi nahi aapke Diwane Bane.....59

Ba adal kitne khushnaseeb hai,
Door rahkar bhi zameen par baraste hai,
Hum kitne badnaseeb hai,
Paas rahkar bhi milne ko taraste hai......60

is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye. ......61

Fiza mein mehekti ek shaam ho tum,
Pyar mein chalakta jam ho tum.
Seene main chupaye phirte hai hum jise,
Meri zindagi ka dusra naam ho tum......62

Vaade pe wo aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte......63

Kaash who nagme ham ne  sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote......64

Jamane  se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu......65

Badi muddat se chaha hai tumeh,
badi duaon se paaya hai tumeh,
Tujeh bhulane ki sochu bhi kaise,
Kismat ki lakiron se churaya hai tujeh......66

Chand adhura hai sitaro ke bina,
gulshan adhura hai bahaaro ke bina,
samundar adhura hau kinaro ke bina,
jeena adhura hai tum jaise yaaro ke bina......67

Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai......68

Najre Jhuki to Paimane bane,
Dil tute to Maikhane bane,
Kuch to jaroor khas hai aap mein..
Hum yoon hi nahi aapke Diwane Bane...69

Ye zindagi itni roshan na hoti
Agar aap gulshan aabad na karte
Mana hum yado ka intezar kam karte hai
Matlab ye nahi hum aapko yaad nahi karte.....70

Khamosh raat ki pehlu me sitare na hote.
In rukhi aanko me rangin nazare na hote.
Hum bhi na karte parwah kisi ki.
Agar aap itne pyaare na hote....71

Hum nibhayenge ye rishta marte dum tak
Hasayenge tum ko khushi se gam tak
E yaar hum se naraz na hona tum
Saath rehna humare aakhri dum tak .....72

yado ke dhup me teri parchai si lagti hai
sannate me gunjati hui shehnai si lagti hai
Tum ho to bas apnapan hai
warna sine me sanse bhi parai lagti hai .....73

Jane kya sochkar sahil se lehre takrakar laut jati hai
Bewfai karti hai ya fir milne ka wada nibhati hai..........74

Wo humse kehte hai hum sirf sapno me milne aayenge
Pehle wo milne ka wada to kare hum jindagi bhar ke liye so jayenge...75

aaj fir dil ne kaha aao bhula de yade
jindagi beet gayi par zinda hai wo yade
jaise chahat bhi ek jurm ho
jiske saza me hum ne payi hai umr bhar ki yade...76

Kabar ki mitti utha le gaya koi
isi bahane hume chukar chala gaya koi
tanhai me khush the hum to
lekin fir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.....77

E kash tum is tarah kisi aur ke nahi hote
Umr bhar mere liye kabhi gair nahi hote
Kalam tha hajeer mere husn ki tareef ko hamesha
Aur is tarah se gam me dube mere sher nahi hote....78

wo julf - e - paresha kahi lehrai hui hai
mehsoos ye hota hai ke ghata chai hui hai
aaja besakhta tuze seene se laga lu
E dost tabiyat meri ghabrai hui hai
Jane ka irada khuda ki kasam abhi na karna
Duniya ki musarrat mere ghar aayi hui hai
Insaan hu aadam aur is yazdan ko bhi khabar hai
Jannat mere aslaf ki thukrai hui hai.............79

Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the
Kisi pe yuhi mar mitne wale kabhi hum na the
Aadat si pad gayi hai tumhe yaad karne ki
Warna kisi ko yaad karne wale kabhi hum na the.....80

Nazron se nazro ka jab takraw hota hai
Har mod par kisi ka interzaar hota hai
Aankhe hasti hai aur dil rota hai
Isi ka naam sachha pyaar hota hai.....81

Ye baat hai kuch salo ki bas kuch dino ki nahi
Sunta hu koi aahat to lagta hai kahi tum to nahi
Raaah dekhte hai is kadar hum aapki
Aur aap hai ke is baat ka zara sa pata bhi nahi......82

Gam aisa diya zindagi ne ke ghabra ke piye
khushi thodi si mili hume to mila ke piye
yu to nahi thi hume janam se pine ki aadat
Sharab ko tanha paya to taras khake piye.........83

Har Rishta mila virasat me
To fir dosti alag se kyo banayi hai
Kyo ki baki rishte banaye hai khuda ne
Aur dosti khud khuda ki parchaai hai......84

Shararat na hoti
Shikayat na hoti
Dhadkano me kisi ki ifazat na hoti
Na hoti ye bekrari
Na hote hum tanha
Kash agar is duniya me
kambakht ye mohabbat na hoti.....85

Ek alag si pehchaan banane ki aadat hai hume
Zakhm ho jitna gehra muskurane ki aadat hai hume
Khud hi ko luta de hum aap jaise dosto par
Kyonki dosti nibhane ki aadat hai hume.....86

Kuch Bikhare hue sapne aur aankh me nami hai
Ek chota sa aasma aur ummido ki zameen hai
Yu to bahut kuch hai zindagi me mere
bas jo dost door hai unki kami hai.....87

Banke ajnabi mile the zindagi ke safar me kahi
in yado ko hum kabhi bhulayenge nahi
Agar yaad na karna hume fitrat hai aapki
To bhul jane ki aadat hume bhi nahi.....88

Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
Dosti ek raaz hai sada muskurane ka
Ye koi pal do pal ki pehchaan nahi
Ye to farz hai umr bhar nibhane ka.....89

Raat dhal jati hai magar bato se dil bharta nahi
Khayal - e - waqt karna pada warna khuda hafeez kehta nahi....90


Mushkilo se aapki mulakat na ho
udaas baithe ho aisi koi baat na ho
Duwa hai ki mehfilo se saje zindagi aapki
Bas yad kar lena agai koi sath na ho....91

Na kabhi hum ne ye jataya ke pyar kitna hai
Na kabhi hum ne ye bataya ke dard kitna hai
Hume aur sirf us khuda ko hi hai maloom
Unki mulakat ka intezaar kitna hai.....92

Bheeg jati hai palke tanhai me
Darte hai kahi ye jaan na lele
Is liye pasand karte hai bhari barsaat me chalna hum
Rote hue koi hume pehchaan na le.......93

Hum Jeete har baazi to mashhoor ho gaye
teri ek hasi se sare aansu door ho gaye
Kanch ka tukda the ek zamane me hum
Ye to aapki badaulat hai jo hum kohinoor ho gaye.....94

kitni paas ho tum kitne duur hain hum..
waqt jaanta hai kitne majbuur hain hum...
saza hain yeh kitni mohabbat hai unse
gunaah hai yeh kitne bekusoor hain hum..............95

aaj phir teri yaad ne mujhko rula diya..
kitni akela hu yeh ehsaas dila diya..
do lawz likhne ka saleeka na tha mujhe..
par teri ulfat ne mujhe shayar bana diya............96

rooth gaya hai mujhko manaane wala..
ab koi nahi naaz mere uthane wala..
jaane kya sochta hai yeh khula darwaaza..
shayad rast bhul gaya hai koi aane wala.........97

pee ke raat ko hum unhe bhulane lage,
sharab mein gum ghol kar khud ko pilane lage...
yeh saaki bhi kambakht bewafa nikli,
nashe mein wo hume aur yaad aane lage.........98

Jab jab aapse milne ki ummeed nazar aayi,
mere paon me bandhi zanjeer nazar aayi,
beh gaye teri yaad me aankh se aansu,
aur har aansu me teri tasveer nazar aayi........99

Jiski aarzo thi wo dil na mila
Jiska intezaar tha wo pal na mila
Luta diya khud ko mohabbat ke is khel me
Kisi ko na hum mile, koi hume na mila...........100

No comments: